Saturday 28 May 2016

some information about fashion designing course..

FASHION DESIGNING COURSE   

Fashion designing ko aam taur par carrier ka ek option bhar mana jata hai , jabki aisa satya nhi hai , darsal yah ek skill hai jo garment aur accessories ki madadat se kisi insan ki life style aur mind of creativity ko samne laati hai. 
kya hai Fashion Designing ???
Modern fashion ke andar do main department hai, pahala department garment design karna aur dusra ready to wear i mean taiyar garments , in-dono vargo me fashion design ka istamal pratham varag me kia jata hai. aaj k samay me fashion show issi base pe chal rahe hai, inn shows k jariye hi kisi designer k deep thought , creativeness aur knowledge ka pata chalata hai..  kisi insan ko agar color, weaving, fabric (textile), pattern, color coding aur texture aadi ka accha gyan ho to use fashion designing ko carrier k roop me apnane me  hichkichana nhi chahiye..
 agar dil aur kadi mehanat ke sath kuch kia jaye to uss kaam ko safal hone se koi nhi rok sakta. khaskar India jaise desh me jaha ke fashion me western culture ka bhi sangam hai, aur issi milan ne fashion industry ko nayi disha aur pahchan di hai. fashion designer 2 type se kaam karte ya to apne client k hisab aur dreamy wish ko apne designs me utar k garment design karte ya dusra buyer k designs k aur price k hisab se designs develop karte (jo ki export industry k fashion designer jada karte) .
ek best designer wo hai jo apne client ko apne designs k jariye khush kar sake.
kyoki ek acche look k liye perfact body and make up k sath ek best garment aur accessory bhi jarury hai.
har mausam k sath fashion ka mizaz bhi badalata hai. iss liye har designer mausam aur forcasting k hisab se dress design karte use plan karte , blue prints draw karte iske bad resourcing fir ja k kuch designs develop hoti.. 
Design ki safalata swabhawik roop se uski finishing fashion designing ka sabse jaruri pahalu hai kyoki fasion wear kisi na kisi theme par nirbhar karta hai jaise mausam, kisi ka dream thought, colour, beach, flowers etc 
agar apne gaur kia ho to designers ki designs jadatar mausam k mutabik hoti hai. for example , winter k mausam me apko usi k anurup rang aur fabric dekhne ko milega aur dress ki designs v aise hi hongi jaise polo neck, high neck, woollen fabric, dark colors aur isake opposite summer me apko casual, cotton aur white color aur light colors milenge. kya in hai aur kya out hai apko ispe nazar banani hogi ! kyoki fashion aur styles kabhi v isthayi nhi hote. Time ke sath isame changes hote rahate hai. kuch dino purawa hi spagady ka fashion gaya hai aur ab halter neck chal raha hai. issi tarah skirt fashion me hai aur suits ka daur ni abhi , issi pariwaratan ki gati ko dekhate huye iss filed me aane wale har insan ko up-to-date rahana hoga aur iss bat k liye ki kya pahana jana chahiye aur kya nahi..
India me fashion ka pramukh kendra Bollywood celebrity, socialites, lime-road, models aadi rahe hai. Iss filed me glamour hai to chunautiya bhi kam nhi. kul milakar ye filed bhot hi chunauti bhara aur glamour se bharpur hai, jisme national aur international level par shows organize kia jata hai  jaise: IMG fashion week , Lakme fashion week , Asian Designer fashion week aadi. bhut se fashion designing institute jaise: NIFT, NIFD, PEARL aadi v apna shows khud organize karate hai ..

4 comments:

  1. Very happy to say your post is very interesting to read.I never stop myself to say something about it.You’re doing a great job.Keep it up

    Fashion Designing Colleges

    ReplyDelete
  2. I am very enjoyed for this blog. Its an informative topic. It help me very much to solve some problems. Its opportunity are so fantastic and working style so speedy. Fashion Design Institute

    ReplyDelete